Monday, February 1, 2010

Jis Dil Mein Basa Tha Pyar Tera

jis dil mein basa tha pyar tera
us dil ko kabhi ka tod diya, hay, tod diya
badanam na hone denge tujhe
tera nam hi lena chhod diya, hay, chhod diya
jis dil mein basa tha pyar tera

jab yad kabhi tum aoge
samajhenge tumhen chaha hi nahin
rahon mein agar mil jaoge
sochenge tumhen dekha hi nahin
jo dar pe tumhare jati thin
un rahon ko hamane chhod diya hay, chhod diya
jis dil mein basa tha pyar tera

ham kaun kisi ke hote hain
koi hamako yad karega kyun
apane do ansu bhi ham par
koi barabad karega kyun
us manjhi ko bhi gila hamase
manjhadhar mein jisane chhod diya, hay, chhod diya
jis dil mein basa tha pyar tera ...

Tum Bin Jeevan Kaise Beeta

Tum bin jeewan kaise beeta,
Poochho mere dil se, poochho mere dil se

Saawan ke din aaye, beeti yaadein laaye
Kaun jhukaakar aankhein, mujhko paas bithhaaye
Kaisa tha pyaara roop tumhaara,
Poochho mere dil se, poochho mere dil se
Tum bin jeewan...

Prem ka saagar haay, chaaro taraf laheraaye
Jitna aage jaau, gehra hota jaaye
Gham ke bhanwar mein, kya kya dooba,
Poochho mere dil se, poochho mere dil se
Tum bin jeewan...

Jaise jugnu ban mein, tu chamke ansuwan mein
Ban kar phool khili ho, jaane kis bagiyan mein
Main apni kismat pe roya,
Poochho mere dil se, poochho mere dil se
Tum bin jeewan...

Raaste Ka Patthar

raaste ka patthar qismat ne mujhe bana diya
jo raaste se guzara ek thokar laga gaya
raaste ka patthar ...
kitane ghaav lage hain ye mat poochho mere dil pe
kitani thokar khaai na pahuncha manzil pe
koi aage phenk gaya to koi peechhe hata gaya
raaste ka patthar ...
pahale kya kar paaya kya isake baad karoonga main
ja ri ja ai duniya kya tujhako yaad karoonga main
do din teri mahafil mein kya aaya kya gaya
raaste ka patthar ...

Mubarak Ho Sabko

Mubarak Ho Sab Ko Sama Ye Suhana
Main Khush Houn Mere Aansouon Pe Na Jaana,
Main Tou Deewana Deewana Deewana

Hazaaron Tarah Ke Ye Hote Hain Aansoun
Agar Dil Mein Gham Ho Tou Rote Hain Aansoun
Khushi Mein Bhi Aankhein~Bheegote Hain Aansoun
Inhe Jaan Sakta Nahin Ye Zamana
Main Khush Houn Mere Aansouon Pe Na Jaana
Main Tou Deewana Deewana Deewana

Ye Shehnaiya De Rahi Hain Duhaii
Koii Cheez Aapni Houi Hain Parayi
Kisi Se Milan Hain~Kisi Se Judaii
Naye Rishton Ne Toda Nata Purana
Main Khush Houn Mere Aansouon Pe Na Jaana
Main Tou Deewana Deewana Deewana

Ye Bole Samay Ki Na Jii Ka Bahaon
Ye Babul Ki Galiya Ye Majhi Ki Naaon
Chali Ho Tou Gori~Sunon Bhul Jaaon
Na Phir Yaad Karna Na Phir Yaad Aana
Main Khush Houn Mere Aansouon Pe Na JaanaMain Tou Deewana Deewana Deewana